nahin aisa ki kabhi shauq par-afshan bhi nahin
nahīñ aisā ki kabhī shauq par-afshāñ bhī nahīñ
dil ko thā naaz ki vīrāñ hai so vīrāñ bhī nahīñ
kyoñ haiñ tūfān kī zad meñ haram-o-dair-o-kunisht
in mazāroñ pe to muddat se charāġhāñ bhī nahīñ
kis ne is anjuman-e-shauq ko tārāj kiyā
dil guzargāh-e-ḳhayālāt-e-pareshāñ bhī nahīñ
shauq-e-afsurda kā mujh se na gila kar ki mujhe
e.atibār-e-karam-e-jumbish-e-mizhgāñ bhī nahīñ
jalva-ābād-e-tasavvur ba-adākārī-e-shauq
ab to marhūn-e-fusūñ-sāzī-e-jānāñ bhī nahīñ
kā.enāt apnī hameñ de ke bhī fāriġh nahīñ aap
ham to kuchh mudda.ī-e-vus.at-e-dāmāñ bhī nahīñ
kabhī is samt ko bhī bahr-e-tamāshā niklo
dil kā hairat-kada aisā koī vīrāñ bhī nahīñ
hairat-ābād tamāshā meñ na zulmat hai na nuur
koī pinhāñ bhī nahīñ hai koī uryāñ bhī nahīñ
kab se maiḳhāne meñ 'rizvī' nahīñ aaya hai nazar
is ḳhizāñ-dost ko kuchh sharm-e-bahārāñ bhī nahīñ
nahin aisa ki kabhi shauq par-afshan bhi nahin
dil ko tha naz ki viran hai so viran bhi nahin
kyon hain tufan ki zad mein haram-o-dair-o-kunisht
in mazaron pe to muddat se charaghan bhi nahin
kis ne is anjuman-e-shauq ko taraj kiya
dil guzargah-e-KHayalat-e-pareshan bhi nahin
shauq-e-afsurda ka mujh se na gila kar ki mujhe
eatibar-e-karam-e-jumbish-e-mizhgan bhi nahin
jalwa-abaad-e-tasawwur ba-adakari-e-shauq
ab to marhun-e-fusun-sazi-e-jaanan bhi nahin
kaenat apni hamein de ke bhi farigh nahin aap
hum to kuchh muddai-e-wusat-e-daman bhi nahin
kabhi is samt ko bhi bahr-e-tamasha niklo
dil ka hairat-kada aisa koi viran bhi nahin
hairat-abaad tamasha mein na zulmat hai na nur
koi pinhan bhi nahin hai koi uryan bhi nahin
kab se maiKHane mein 'rizwi' nahin aaya hai nazar
is KHizan-dost ko kuchh sharm-e-bahaaran bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.