nahin apne to begane bahut hain
nahīñ apne to begāne bahut haiñ
jahāñ meñ ā.ina-ḳhāne bahut haiñ
pareshāñ kyoñ ho mere ham-rikābo
mire ġham ko mire shāne bahut haiñ
zamāne bhar kī hujjat ke muqābil
faqat tasbīh ke daane bahut haiñ
abhī se aap himmat haar baiThe
abhī ilzām sar aane bahut haiñ
hameñ rakkhā hai kis darje meñ sāhib
sunā hai aap ke ḳhāne bahut haiñ
kisī ko shaam kī hai fikr lāhaq
kisī ko shauq farmāne bahut haiñ
isī kā naam 'paikar' zindagī hai
marāhil sāmne aane bahut haiñ
nahin apne to begane bahut hain
jahan mein aaina-KHane bahut hain
pareshan kyon ho mere ham-rikabo
mere gham ko mere shane bahut hain
zamane bhar ki hujjat ke muqabil
faqat tasbih ke dane bahut hain
abhi se aap himmat haar baiThe
abhi ilzam sar aane bahut hain
hamein rakkha hai kis darje mein sahib
suna hai aap ke KHane bahut hain
kisi ko sham ki hai fikr lahaq
kisi ko shauq farmane bahut hain
isi ka nam 'paikar' zindagi hai
marahil samne aane bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.