nahin bilkul nahin wallah nahin hai
nahīñ bilkul nahīñ vallāh nahīñ hai
mire mahbūb se achchhā nahīñ hai
na-jāne kyuuñ mujhe lagtā hai aise
mirā chehra mirā apnā nahīñ hai
ye merā aks hai lekin adhūrā
jo honā chāhiye vaisā nahīñ hai
tirā itrānā bantā hai bajā hai
tire dil meñ koī utrā nahīñ hai
tujhe bhī bhuul jaatā ghar kā rasta
to mere paas jo baiThā nahīñ hai
batānā kyā ḳhatā sarzad huī thī
tū itne roz kyuuñ bolā nahīñ hai
hamārā zabt gar kāmil nahīñ to
tumhārā husn kyā fitna nahīñ hai
agar tū hai na.e lafzoñ kā shā.ir
purānā merā bhī lahja nahīñ hai
nahin bilkul nahin wallah nahin hai
mere mahbub se achchha nahin hai
na-jaane kyun mujhe lagta hai aise
mera chehra mera apna nahin hai
ye mera aks hai lekin adhura
jo hona chahiye waisa nahin hai
tera itrana banta hai baja hai
tere dil mein koi utra nahin hai
tujhe bhi bhul jata ghar ka rasta
to mere pas jo baiTha nahin hai
batana kya KHata sarzad hui thi
tu itne roz kyun bola nahin hai
hamara zabt gar kaamil nahin to
tumhaara husn kya fitna nahin hai
agar tu hai nae lafzon ka shair
purana mera bhi lahja nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.