nahin chhoD sakta main rota samundar
nahīñ chhoḌ saktā maiñ rotā samundar
agar merā dushman bhī hotā samundar
maiñ hijrat jo kartā kisī bhī jahāñ meñ
tamām umr āñkhoñ se Dhotā samundar
tire māthe par maiñ sajātā sitāre
tirī āñkhoñ meñ bhī samotā samundar
kahīñ chāñd taare nahāne ko aate
kahīñ bādaloñ meñ bhigotā samundar
use jāgne kī sazā mil rahī hai
nahīñ zindagī bhar ye sotā samundar
tere shahr ko yuuñ na jalne maiñ detā
agar mere hāthoñ meñ hotā samundar
har insān ne is ko mailā kiyā hai
maiñ tanhā bhalā kaise dhotā samundar
nahin chhoD sakta main rota samundar
agar mera dushman bhi hota samundar
main hijrat jo karta kisi bhi jahan mein
tamam umr aankhon se Dhota samundar
tere mathe par main sajata sitare
teri aankhon mein bhi samota samundar
kahin chand tare nahane ko aate
kahin baadalon mein bhigota samundar
use jagne ki saza mil rahi hai
nahin zindagi bhar ye sota samundar
tere shahr ko yun na jalne main deta
agar mere hathon mein hota samundar
har insan ne is ko maila kiya hai
main tanha bhala kaise dhota samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.