nahin gulon ki jo kanTon ki ab KHushi hai mujhe
nahīñ guloñ kī jo kāñToñ kī ab ḳhushī hai mujhe
ki rāste meñ ye daulat paḌī milī hai mujhe
kuchh aisī aag sī mahsūs ho rahī hai mujhe
kahīñ kī bhaḌkī huī jaise lag ga.ī hai mujhe
bahut maiñ soch chukā phir bhī ek soch meñ huuñ
ki jaise aur bhī kuchh sochnā abhī hai mujhe
rah-e-safar meñ hai duur ek zau ḳhudā jaane
ye shahr se ki bayābāñ se tak rahī hai mujhe
kalī ke dil pe ga.ī hai mirī nazar jab se
bahut aziiz kalī kī shaguftagī hai mujhe
havas ke daur-e-junūñ meñ mire liye kyā hai
chalo nasīb to ik zaḳhm-e-āgahī hai mujhe
nahin gulon ki jo kanTon ki ab KHushi hai mujhe
ki raste mein ye daulat paDi mili hai mujhe
kuchh aisi aag si mahsus ho rahi hai mujhe
kahin ki bhaDki hui jaise lag gai hai mujhe
bahut main soch chuka phir bhi ek soch mein hun
ki jaise aur bhi kuchh sochna abhi hai mujhe
rah-e-safar mein hai dur ek zau KHuda jaane
ye shahr se ki bayaban se tak rahi hai mujhe
kali ke dil pe gai hai meri nazar jab se
bahut aziz kali ki shaguftagi hai mujhe
hawas ke daur-e-junun mein mere liye kya hai
chalo nasib to ek zaKHm-e-agahi hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.