nahin hai agar un mein barish hawa
nahīñ hai agar un meñ bārish havā
uThā bādaloñ kī numā.ish havā
gahe barf hai gaah ātish havā
tujhe kyuuñ hai dillī se ranjish havā
maiñ gunjān shahroñ kā maarā huā
navāzish navāzish navāzish havā
tire saath chalne kī aadat nahīñ
hamārī na kar āzmā.ish havā
shikasta safīna musāfir niDhāl
talātum shab-e-tār bārish havā
ab ashk o tapish chashm o dil meñ nahīñ
the yakjā kabhī aab o ātish havā
nahin hai agar un mein barish hawa
uTha baadalon ki numaish hawa
gahe barf hai gah aatish hawa
tujhe kyun hai dilli se ranjish hawa
main gunjaan shahron ka mara hua
nawazish nawazish nawazish hawa
tere sath chalne ki aadat nahin
hamari na kar aazmaish hawa
shikasta safina musafir niDhaal
talatum shab-e-tar barish hawa
ab ashk o tapish chashm o dil mein nahin
the yakja kabhi aab o aatish hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.