Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin hai mujhko ai jamshed tere jam se kaam

Miskeen Shah

nahin hai mujhko ai jamshed tere jam se kaam

Miskeen Shah

MORE BYMiskeen Shah

    nahīñ hai mujh ko ai jamshed tere jaam se kaam

    jahāñ-numā hai mujhe apne ḳhush-ḳhirām se kaam

    sabhī to diin va duniyā kaam karte haiñ

    mujhe na diin na duniyā ke intizām se kaam

    haram meñ shaiḳh haiñ aur dair meñ barahman haiñ

    hameñ nahīñ hai unhoñ ke koī kalām se kaam

    kunisht-e-dil meñ hai ik josh but-parastī

    mujhe butoñ hai ḳhidmat meñ raam raam se kaam

    ġharaz na kufr se kuchh hai na diin se matlab

    na hai halāl se hai hameñ harām se kaam

    sanam ke rū-ba-rū rahnā mujhe ġhanīmat hai

    na sharm nañg se kuchh hai mujhe na naam se kaam

    ḳhafā bhī ho ke jo dekhe to sar nisār karūñ

    agar na dekhe to phir bhī hai ik salām se kaam

    sunā sunā ke jo kartā hai va.az-e-husn bayāñ

    paḌā hai tujh ko hamesha ye fahm-e-ḳhām se kaam

    apne bakne se 'miskīñ' na ham se duur huā

    tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam

    nahin hai mujh ko ai jamshed tere jam se kaam

    jahan-numa hai mujhe apne KHush-KHiram se kaam

    sabhi to din wa duniya ka kaam karte hain

    mujhe na din na duniya ke intizam se kaam

    haram mein shaiKH hain aur dair mein barahman hain

    hamein nahin hai unhon ke koi kalam se kaam

    kunisht-e-dil mein hai ek josh but-parasti ka

    mujhe buton ki hai KHidmat mein ram ram se kaam

    gharaz na kufr se kuchh hai na din se matlab

    na hai halal se na hai hamein haram se kaam

    sanam ke ru-ba-ru rahna mujhe ghanimat hai

    na sharm nang se kuchh hai mujhe na nam se kaam

    KHafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun

    agar na dekhe to phir bhi hai ek salam se kaam

    suna suna ke jo karta hai waz-e-husn bayan

    paDa hai tujh ko hamesha ye fahm-e-KHam se kaam

    tu apne bakne se 'miskin' na hum se dur hua

    tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now