nahin hai yun ke dama-dam hawa ne raqs kiya
nahīñ hai yuuñ ke damā-dam havā ne raqs kiyā
shadīd habs thā kam kam havā ne raqs kiyā
bas ek maiñ hī vahāñ par tavāf meñ to na thā
darūn-e-shahr-e-mukarram havā ne raqs kiyā
charāġh qatl huā to ḳhushī se maqtal meñ
lagā ke nāra-e-raqsam havā ne raqs kiyā
tamām din kī tamāzat ke ba.ad raat ga.e
girī jo phuul pe shabnam havā ne raqs kiyā
samundaroñ ke safar se palaT ke aa.ī to
zarā zarā sī huī nam havā ne raqs kiyā
nahin hai yun ke dama-dam hawa ne raqs kiya
shadid habs tha kam kam hawa ne raqs kiya
bas ek main hi wahan par tawaf mein to na tha
darun-e-shahr-e-mukarram hawa ne raqs kiya
charagh qatl hua to KHushi se maqtal mein
laga ke nara-e-raqsam hawa ne raqs kiya
tamam din ki tamazat ke baad raat gae
giri jo phul pe shabnam hawa ne raqs kiya
samundaron ke safar se palaT ke aai to
zara zara si hui nam hawa ne raqs kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.