nahin hai yun ki use hum tamam bhul gae
nahīñ hai yuuñ ki use ham tamām bhuul ga.e
vo shakl yaad rahī us kā naam bhuul ga.e
vo boltī huī āñkheñ hameñ rahīñ azbar
zabān-e-ḳhalq ke saare kalām bhuul ga.e
talāsh-e-tishna-labī meñ vo nashsha thā ki hameñ
nasīb meñ the jo labrez jaam bhuul ga.e
milā to sunte rahe dāstān dushman kī
hamāre dil meñ thā jo intiqām bhuul ga.e
kise samajhnā hai rahzan to rahnumā kis ko
ye faisle kī ghaḌī meñ avaam bhuul ga.e
ye be-ḳhudī se bhī aage kī raah thī shāyad
jise pukārne nikle vo naam bhuul ga.e
nahin hai yun ki use hum tamam bhul gae
wo shakl yaad rahi us ka nam bhul gae
wo bolti hui aankhen hamein rahin azbar
zaban-e-KHalq ke sare kalam bhul gae
talash-e-tishna-labi mein wo nashsha tha ki hamein
nasib mein the jo labrez jam bhul gae
mila to sunte rahe dastan dushman ki
hamare dil mein tha jo intiqam bhul gae
kise samajhna hai rahzan to rahnuma kis ko
ye faisle ki ghaDi mein awam bhul gae
ye be-KHudi se bhi aage ki rah thi shayad
jise pukarne nikle wo nam bhul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.