nahin ho paegi tujh par ayan aazurdagi dil ki
nahīñ ho pā.egī tujh par ayaañ āzurdagī dil kī
chhupā rakkhī nihāñ-ḳhānoñ meñ hai afsurdagī dil kī
thakan chehroñ pe hai aur raunaqeñ nāpaid duniyā kī
añdheroñ meñ na jaane kab se hai tābindagī dil kī
koī nabzeñ TaTole saañs kī bhī āhaTeñ parkhe
milegā khoj na koī hai kyā darmāndagī dil kī
zamāna apnī chāleñ chal gayā hai ham yahīñ par haiñ
na apne saath ab tak ho sakī āmādgī dil kī
sarāboñ meñ qadam haiñ to uḌāneñ haiñ ḳhayāloñ meñ
na.e rastoñ pe le aa.ī hai ye uftādgī dil kī
fatāvā-e-jahāñ-gīrī ravish kaise badal paa.eñ
jo ḳhud ke bhī na bas meñ ho sake āshuftagī dil kī
jafā badle vafā ke aur mohabbat kī jazā nafrat
miTegī kyā kisī taujīh se sharmindagī dil kī
gul-e-ummīd khilne ko chaman meñ ābiyārī ho
ḳhizāñ kā ruup na dhāre kahīñ pazhmurdagī dil kī
hameñ ik ālam-e-taskīn meñ rahnā mayassar ho
'sabīñ' sharf-e-qubūliyyat jo paa.e bandagī dil kī
nahin ho paegi tujh par ayan aazurdagi dil ki
chhupa rakkhi nihan-KHanon mein hai afsurdagi dil ki
thakan chehron pe hai aur raunaqen napaid duniya ki
andheron mein na jaane kab se hai tabindagi dil ki
koi nabzen TaTole sans ki bhi aahaTen parkhe
milega khoj na koi hai kya darmandagi dil ki
zamana apni chaalen chal gaya hai hum yahin par hain
na apne sath ab tak ho saki aamadgi dil ki
sarabon mein qadam hain to uDanen hain KHayalon mein
nae raston pe le aai hai ye uftadgi dil ki
fatawa-e-jahan-giri rawish kaise badal paen
jo KHud ke bhi na bas mein ho sake aashuftagi dil ki
jafa badle wafa ke aur mohabbat ki jaza nafrat
miTegi kya kisi taujih se sharmindagi dil ki
gul-e-ummid khilne ko chaman mein aabiyari ho
KHizan ka rup na dhaare kahin pazhmurdagi dil ki
hamein ek aalam-e-taskin mein rahna mayassar ho
'sabin' sharf-e-qubuliyyat jo pae bandagi dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.