aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha

Bahadur Shah Zafar

nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    nahīñ ishq meñ is to ranj hameñ ki qarār o shakeb zarā na rahā

    ġham-e-ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā

    in love, I harbour no regret, peace, patience are nowhere

    sorrow is still my intimate, if no one else, no care

    diyā apnī ḳhudī ko jo ham ne uThā vo jo parda biich meñ thā na rahā

    rahe parde meñ ab na vo parda-nashīñ koī dūsrā us ke sivā na rahā

    when I erased the self in me, the veil vanished between

    no longer was He shrouded then, save Him none else was seen

    na thī haal jab hameñ ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar

    paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā

    as long unknowing of myself, in others faults did see

    when my own faults I perceived, found none as bad as me

    tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazā

    tirī zulf ke dhyān meñ kaun shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā

    in thought of you, which day was not / like judgement day to me?

    in contemplating curls, which night, not cause calamity?

    hameñ sāġhar-e-bāda ke dene meñ ab kare der jo saaqī to haa.e ġhazab

    ki ye ahd-e-nashāt ye daur-e-tarab na rahegā jahāñ meñ sadā na rahā

    in serving wine to me today, if she delays, alas!

    so transient, this age of youth, this time of joy shall pass

    ka.ī roz meñ aaj vo mehr-liqā huā mere jo sāmne jalva-numā

    mujhe sabr o qarār zarā na rahā use pās-e-hijāb-o-hayā na rahā

    in ages does the moon-faced one / reveal herself to me

    my calm, composure, I have lost, she, veiled timidity

    tire ḳhanjar o teġh āb-e-ravāñ huī jab ki sabīl-e-sitam-zadgāñ

    ga.e kitne qāfile ḳhushk-zabāñ koī tishna-e-āb-e-baqā na rahā

    ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

    ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

    mujhe saaf batā.e nigār agar to ye pūchhūñ maiñ ro ro ke ḳhūn-e-jigar

    male paañv se kis ke haiñ dīda-e-tar kaf-e-pā pe jo rañg-e-hinā na rahā

    your soles have wiped whose tearful eyes? your henna's washed away

    with tears of blood I'd ask of her, if truthfully she'd say

    use chāhā thā maiñ ne ki rok rakhūñ mirī jaan bhī jaa.e to jaane na duuñ

    kiye laakh fareb karoḌ fusūñ na rahā na rahā na rahā na rahā

    at risk even to life, I wished, to stop her going away

    and though I played a million tricks, she did not, did not stay

    lage yuuñ to hazāroñ tīr-e-sitam ki taḌapte rahe paḌe ḳhaak pe ham

    vale naaz o karishma teġh-e-do-dam lagī aisī ki tasma lagā na rahā

    though pierced by thousand darts of pain, in dust, writhing did remain

    but twin-edged sword of airs and grace, slashed at me and I was slain

    'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā sāhab-e-fahm-o-zakā

    jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā

    deem him not a man though just / and wise he may appear

    in pleasure who forgets the Lord, in anger does not fear

    nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha

    gham-e-ishq to apna rafiq raha koi aur bala se raha na raha

    in love, I harbour no regret, peace, patience are nowhere

    sorrow is still my intimate, if no one else, no care

    diya apni KHudi ko jo hum ne uTha wo jo parda sa bich mein tha na raha

    rahe parde mein ab na wo parda-nashin koi dusra us ke siwa na raha

    when I erased the self in me, the veil vanished between

    no longer was He shrouded then, save Him none else was seen

    na thi haal ki jab hamein KHabar rahe dekhte auron ke aib o hunar

    paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha

    as long unknowing of myself, in others faults did see

    when my own faults I perceived, found none as bad as me

    tere ruKH ke KHayal mein kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza

    teri zulf ke dhyan mein kaun si shab mere sar pe hujum-e-bala na raha

    in thought of you, which day was not / like judgement day to me?

    in contemplating curls, which night, not cause calamity?

    hamein saghar-e-baada ke dene mein ab kare der jo saqi to hae ghazab

    ki ye ahd-e-nashat ye daur-e-tarab na rahega jahan mein sada na raha

    in serving wine to me today, if she delays, alas!

    so transient, this age of youth, this time of joy shall pass

    kai roz mein aaj wo mehr-liqa hua mere jo samne jalwa-numa

    mujhe sabr o qarar zara na raha use pas-e-hijab-o-haya na raha

    in ages does the moon-faced one / reveal herself to me

    my calm, composure, I have lost, she, veiled timidity

    tere KHanjar o tegh ki aab-e-rawan hui jab ki sabil-e-sitam-zadgan

    gae kitne hi qafile KHushk-zaban koi tishna-e-ab-e-baqa na raha

    ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

    ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

    mujhe saf batae nigar agar to ye puchhun main ro ro ke KHun-e-jigar

    male panw se kis ke hain dida-e-tar kaf-e-pa pe jo rang-e-hina na raha

    your soles have wiped whose tearful eyes? your henna's washed away

    with tears of blood I'd ask of her, if truthfully she'd say

    use chaha tha main ne ki rok rakhun meri jaan bhi jae to jaane na dun

    kiye lakh fareb karoD fusun na raha na raha na raha na raha

    at risk even to life, I wished, to stop her going away

    and though I played a million tricks, she did not, did not stay

    lage yun to hazaron hi tir-e-sitam ki taDapte rahe paDe KHak pe hum

    wale naz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha

    though pierced by thousand darts of pain, in dust, writhing did remain

    but twin-edged sword of airs and grace, slashed at me and I was slain

    'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka

    jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha

    deem him not a man though just / and wise he may appear

    in pleasure who forgets the Lord, in anger does not fear

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha Nomaan Shauque

    Source:

    Deewan-e-Zafar (Pg. 17)

    • Author: Bahadur Shah Zafar
      • Publisher: Mashwara Book Depot, Delhi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now