nahin jo daulat-e-zad-e-safar to kya gham hai
nahīñ jo daulat-e-zād-e-safar to kyā ġham hai
yahī matā.a bahut hai ki azm-e-mohkam hai
qadam qadam pe havādis qadam qadam ḳhatre
batā rahe haiñ ki manzil kā fāsla kam hai
ye mai-kade ke haiñ baanī inheñ sharāb na do
huzūr jurm baḌā hai sazā bahut kam hai
hamārī baat hī kyā thī rahī rahī na rahī
tumhārī baat to rakh lī hai kyā ye kuchh kam hai
haiñ ab bhī sāġhar-o-mīnā ke tazkire 'ġhālib'
ki ab na haath meñ jumbish na aañkh meñ dam hai
rah-e-adab meñ jale to haiñ kuchh charāġh na.e
magar ye kaun batā.e ki raushnī kam hai
ye kis maqām pe ham aa ga.e haiñ ai 'rahmat'
na zindagī kī ḳhushī hai na maut kā ġham hai
nahin jo daulat-e-zad-e-safar to kya gham hai
yahi mataa bahut hai ki azm-e-mohkam hai
qadam qadam pe hawadis qadam qadam KHatre
bata rahe hain ki manzil ka fasla kam hai
ye mai-kade ke hain bani inhen sharab na do
huzur jurm baDa hai saza bahut kam hai
hamari baat hi kya thi rahi rahi na rahi
tumhaari baat to rakh li hai kya ye kuchh kam hai
hain ab bhi saghar-o-mina ke tazkire 'ghaalib'
ki ab na hath mein jumbish na aankh mein dam hai
rah-e-adab mein jale to hain kuchh charagh nae
magar ye kaun batae ki raushni kam hai
ye kis maqam pe hum aa gae hain ai 'rahmat'
na zindagi ki KHushi hai na maut ka gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.