nahīñ kaTtā hai ye maidān-e-balā
vādī-e-ḳhizr bayābān-e-balā
musta.id zulf mirī rañj pe hai
hai muhayyā sar-o-sāmān-e-balā
mar gayā gesu-e-pur-pech meñ dil
chhuT gayā qaidī-e-zindān-e-balā
haar phūloñ kī haiñ choTī meñ ayaañ
kyā hī phūlā hai gulistān-e-balā
bole bikhrā ke vo zulfeñ apnī
ham hue silsila-jumbān-e-balā
ūñchī choTī hai ġhazab ai yam-e-husn
kyā hī uTThā hai ye tūfān-e-balā
kaan kī lau tirī zulfoñ meñ nahīñ
hai charāġh-e-tah-e-dāmān-e-balā
garmī-e-ruḳh se araq-rez hai zulf
hai guhar-bār ye naisān-e-balā
dil mire siine meñ hai mahv-e-mizha
hai yahī sher-e-niyastān-e-balā
nahin kaTta hai ye maidan-e-bala
wadi-e-KHizr bayaban-e-bala
mustaid zulf meri ranj pe hai
hai muhayya sar-o-saman-e-bala
mar gaya gesu-e-pur-pech mein dil
chhuT gaya qaidi-e-zindan-e-bala
haar phulon ki hain choTi mein ayan
kya hi phula hai gulistan-e-bala
bole bikhra ke wo zulfen apni
hum hue silsila-jumban-e-bala
unchi choTi hai ghazab ai yam-e-husn
kya hi uTTha hai ye tufan-e-bala
kan ki lau teri zulfon mein nahin
hai charagh-e-tah-e-daman-e-bala
garmi-e-ruKH se araq-rez hai zulf
hai guhar-bar ye naisan-e-bala
dil mere sine mein hai mahw-e-mizha
hai yahi sher-e-niyastan-e-bala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.