nahin kuchh masala hum ko gharon ka
nahīñ kuchh mas.ala ham ko gharoñ kā
bahut dushvār hai basnā diloñ kā
use kahnā mujhe ījād kar le
mudāvā huuñ maiñ us ke sab dukhoñ kā
tumhāre jaal le kar uḌ rahā huuñ
karishma hai mire TuuTe paroñ kā
tumhāre ba.ad bhī tanhā nahīñ huuñ
lagā hai ek mela ratjagoñ kā
tumhārī aañkh kā motī hai nādir
hamārā dil bhī tājir hai nagoñ kā
ka.ī nasleñ apāhij kar gayā hai
ye jhagḌā thā koī ghar ke baḌoñ kā
barāh-e-rāst haiñ sūraj kī zad meñ
ḳhudā-hāfiz ho in ūñche gharoñ kā
baḌā shātir siyāsat-dān hai vo
use ma.alūm hai bhaav saroñ kā
nahin kuchh masala hum ko gharon ka
bahut dushwar hai basna dilon ka
use kahna mujhe ijad kar le
mudawa hun main us ke sab dukhon ka
tumhaare jal le kar uD raha hun
karishma hai mere TuTe paron ka
tumhaare baad bhi tanha nahin hun
laga hai ek mela ratjagon ka
tumhaari aankh ka moti hai nadir
hamara dil bhi tajir hai nagon ka
kai naslen apahij kar gaya hai
ye jhagDa tha koi ghar ke baDon ka
barah-e-rast hain suraj ki zad mein
KHuda-hafiz ho in unche gharon ka
baDa shatir siyasat-dan hai wo
use malum hai bhaw saron ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.