nahin meri wapsi ka koi etibar kahna
nahīñ merī vāpsī kā koī e'tibār kahnā
vo kare na zindagī bhar mirā intizār kahnā
vo mohabbatoñ ke mausam tujhe yaad bhī haiñ hamdam
mirā ek baar sunñā terā baar baar kahnā
vo sharīf aadmī hai mirā tazkira kare nā
use jāntī hai duniyā rahe hoshiyār kahnā
jo hañsā hai itifāqan tumheñ dekh kar mirā man
na ise sitam samajhnā na ise qarār kahnā
vo har ek biitā lamha mujhe yaad aa rahā hai
tirā mujh se baat karnā mirā tujh ko yaar kahnā
zarā ehtiyāt rakkhe mire sāmne na aa.e
mirā dekhnā na kar de use sharmsār kahnā
nahin meri wapsi ka koi e'tibar kahna
wo kare na zindagi bhar mera intizar kahna
wo mohabbaton ke mausam tujhe yaad bhi hain hamdam
mera ek bar sunna tera bar bar kahna
wo sharif aadmi hai mera tazkira kare na
use jaanti hai duniya rahe hoshiyar kahna
jo hansa hai itifaqan tumhein dekh kar mera man
na ise sitam samajhna na ise qarar kahna
wo har ek bita lamha mujhe yaad aa raha hai
tera mujh se baat karna mera tujh ko yar kahna
zara ehtiyat rakkhe mere samne na aae
mera dekhna na kar de use sharmsar kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.