nahin motaqid jo tere did ka
nahīñ mo'taqid jo tire diid kā
maiñ dīvāna huuñ us kī fahmīd kā
ta.alluq kisī se nahīñ ġhair-e-haq
ye aalam huā apnī tajrīd kā
ḳhayāl-e-do-ālam huā dil se duur
yahāñ vaqr kyā jām-e-jamshed kā
ham-āġhosh vo mujh se ho yā na ho
divānā huuñ maiñ diid vā diid kā
yahāñ nā-murādī hai ain-e-murād
na ho bārvar naḳhl ummīd kā
ye kūche meñ laila ke majnūñ na ho
iram meñ hai goyā shajar bed kā
tirā sher 'joshish' tujhe hai pasand
tū muhtāj hai kis kī tā.īd kā
nahin mo'taqid jo tere did ka
main diwana hun us ki fahmid ka
talluq kisi se nahin ghair-e-haq
ye aalam hua apni tajrid ka
KHayal-e-do-alam hua dil se dur
yahan waqr kya jam-e-jamshed ka
ham-aghosh wo mujh se ho ya na ho
diwana hun main did wa did ka
yahan na-muradi hai ain-e-murad
na ho barwar naKHl ummid ka
ye kuche mein laila ke majnun na ho
iram mein hai goya shajar bed ka
tera sher 'joshish' tujhe hai pasand
tu muhtaj hai kis ki taid ka
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.