nahīñ qaul se fe'l tere mutābiq
kahūñ kis tarah tujh ko ai yaar sādiq
na jannat ke qābil na dozaḳh ke laa.iq
mujhe kyuuñ kiyā ḳhalq ai mere ḳhāliq
hue hijr meñ vo marz mujh ko lāhiq
rahe dañg jis meñ atibbā-e-hāziq
bharosā karam par hai ham 'āsiyoñ ko
ġhazab par samajhte haiñ rahm us kā faa.iq
faqat kunh zaat us kī ab tak na samjhe
hue munkashif aur saare daqā.iq
jhagaḌ leñge aapas meñ shaiḳh o brahman
tujhe kyā bakheḌoñ se o mard-e-āshiq
jo ye us kī rahmat kī tuġhyāniyāñ haiñ
kujā zohd-e-zāhid kahāñ fisq-e-fāsiq
kiyā nafs ko mujh pe kyuuñ tū ne ġhālib
na thā kyā tirī bandagī ke meñ laa.iq
na rakhnā mujhe apnī rahmat se mahrūm
tirī zaat se hai ye ummīd-e-vāsiq
na taab aa.egī husn kī tere ai dost
maiñ muusā nahīñ huuñ jo jalve kā shā.eq
tajarrud kā 'ālam tujhe kyā burā thā
huā kis liye pā-e-band-e-alā.eq
shikāyat kā fiqra zabāñ tak na aayā
bahar-hāl kartā rahā shukr-e-ḳhāliq
sar o chashm se maiñ bajā lā.ūñ sāhib
jo ḳhidmat koī hove bande ke laa.iq
bhalā kis se bahlā.ūñ dil is chaman meñ
na sumbul na nasrīñ na gul na shaqā.iq
rūlāte ho 'āshiq ko be-vaj.h-o-bā.is
hañseñgī mirī jaan tum par ḳhalā.iq
kiye mo'jize husn ne donoñ yakjā
shab-e-tīra gesū jabīñ sub.h-e-sādiq
kahā sun ke afsāna-e-qai-o-lailā
'abas karte ho haal meñ zikr-e-sābiq
gayā vo zamāna vo log uḌ ga.e sab
na mā'shūq vaise rahe ab na 'āshiq
shunīdem nām-o-nishānash nadīdem
chū anqāst mā'dūm yār-e-muāfiq
mirī jaan muddat se martā huuñ tujh par
tire chāñd se muñh kā 'āshiq huuñ 'āshiq
huā rashk-e-lailā kī furqat meñ majnūñ
mirā haal aur qais kā hai mutābiq
'abas fauq detā hai tū ḳhud ko nādāñ
kiyā ek ko ek par us ne faa.iq
vo munshī bane qudrat-e-haq to dekho
jo maktab meñ paḌhte the inshā-e-fā.iq
du'ā hai yahī aur yahī hai tamannā
najaf meñ mare jā ke ye 'rind'-e-fāsiq
nahin qaul se fe'l tere mutabiq
kahun kis tarah tujh ko ai yar sadiq
na jannat ke qabil na dozaKH ke laiq
mujhe kyun kiya KHalq ai mere KHaliq
hue hijr mein wo marz mujh ko lahiq
rahe dang jis mein atibba-e-haziq
bharosa karam par hai hum 'asiyon ko
ghazab par samajhte hain rahm us ka faiq
faqat kunh zat us ki ab tak na samjhe
hue munkashif aur sare daqaiq
jhagaD lenge aapas mein shaiKH o brahman
tujhe kya bakheDon se o mard-e-ashiq
jo ye us ki rahmat ki tughyaniyan hain
kuja zohd-e-zahid kahan fisq-e-fasiq
kiya nafs ko mujh pe kyun tu ne ghaalib
na tha kya teri bandagi ke mein laiq
na rakhna mujhe apni rahmat se mahrum
teri zat se hai ye ummid-e-wasiq
na tab aaegi husn ki tere ai dost
main musa nahin hun jo jalwe ka shaeq
tajarrud ka 'alam tujhe kya bura tha
hua kis liye pa-e-band-e-alaeq
shikayat ka fiqra zaban tak na aaya
bahar-haal karta raha shukr-e-KHaliq
sar o chashm se main baja laun sahib
jo KHidmat koi howe bande ke laiq
bhala kis se bahlaun dil is chaman mein
na sumbul na nasrin na gul na shaqaiq
rulate ho 'ashiq ko be-wajh-o-bais
hansengi meri jaan tum par KHalaiq
kiye mo'jize husn ne donon yakja
shab-e-tira gesu jabin subh-e-sadiq
kaha sun ke afsana-e-qai-o-laila
'abas karte ho haal mein zikr-e-sabiq
gaya wo zamana wo log uD gae sab
na ma'shuq waise rahe ab na 'ashiq
shunidem nam-o-nishanash nadidem
chu anqast ma'dum yar-e-muafiq
meri jaan muddat se marta hun tujh par
tere chand se munh ka 'ashiq hun 'ashiq
hua rashk-e-laila ki furqat mein majnun
mera haal aur qais ka hai mutabiq
'abas fauq deta hai tu KHud ko nadan
kiya ek ko ek par us ne faiq
wo munshi bane qudrat-e-haq to dekho
jo maktab mein paDhte the insha-e-faiq
du'a hai yahi aur yahi hai tamanna
najaf mein mare ja ke ye 'rind'-e-fasiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.