nahin rahoge to kuchh nibhana nahin paDega
nahīñ rahoge to kuchh nibhānā nahīñ paḌegā
ye sar kaTā lo ki phir uThānā nahīñ paḌegā
ye jang hogī tamām ġhāzī shahīd hoñge
kisī ko maidāñ se lauT jaanā nahīñ paḌegā
ḳhudā kī maano to daal roTī milā karegī
kisī ko miTTī meñ hal chalānā nahīñ paḌegā
kahīñ rahūñgā to chhat zarūrat rahegī merī
safar karūñgā to ghar banānā nahīñ paḌegā
ye chābiyāñ haiñ mire ḳhazāne kī paas rakh le
mujhe dobāra use chhupānā nahīñ paḌegā
usī galī meñ tamām logoñ ke ghar baneñge
kisī ko milne kahīñ pe jaanā nahīñ paḌegā
qasam ḳhudā kī maiñ koī shikva nahīñ karūñgā
tujhe mohabbat meñ kuchh nibhānā nahīñ paḌegā
nahin rahoge to kuchh nibhana nahin paDega
ye sar kaTa lo ki phir uThana nahin paDega
ye jang hogi tamam ghazi shahid honge
kisi ko maidan se lauT jaana nahin paDega
KHuda ki mano to dal roTi mila karegi
kisi ko miTTi mein hal chalana nahin paDega
kahin rahunga to chhat zarurat rahegi meri
safar karunga to ghar banana nahin paDega
ye chabiyan hain mere KHazane ki pas rakh le
mujhe dobara use chhupana nahin paDega
usi gali mein tamam logon ke ghar banenge
kisi ko milne kahin pe jaana nahin paDega
qasam KHuda ki main koi shikwa nahin karunga
tujhe mohabbat mein kuchh nibhana nahin paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.