nahin roze se hain to kya adakari to karni hai
nahīñ roze se haiñ to kyā adākārī to karnī hai
amīr-e-shahr kī dāvat hai iftārī to karnī hai
kahāñ hai shervānī aur Topī lā.iye begam
abhī din hai magar pahle se tayyārī to karnī hai
abhī baaqī hai kuchh logoñ meñ jo īmān-dārī kī
kisī bhī tarah se vo duur bīmārī to karnī hai
kisī bhī tarah rishvat de ke pakkī naukrī kar lo
miyāñ duty tumheñ le de ke sarkārī to karnī hai
jahāñ par lomḌī kī tarah har chehra nazar aa.e
vahāñ thoḌī bahut ham ko bhī ayyārī to karnī hai
agar insāf bhī majrūh hotā hai to hone do
hameñ apne qabīle kī taraf-dārī to karnī hai
mire mālik mire aaqā maiñ banda aap kā lekin
milā hai hukm uupar se giraftārī to karnī hai
nahin roze se hain to kya adakari to karni hai
amir-e-shahr ki dawat hai iftari to karni hai
kahan hai sherwani aur Topi laiye begam
abhi din hai magar pahle se tayyari to karni hai
abhi baqi hai kuchh logon mein jo iman-dari ki
kisi bhi tarah se wo dur bimari to karni hai
kisi bhi tarah rishwat de ke pakki naukri kar lo
miyan duty tumhein le de ke sarkari to karni hai
jahan par lomDi ki tarah har chehra nazar aae
wahan thoDi bahut hum ko bhi ayyari to karni hai
agar insaf bhi majruh hota hai to hone do
hamein apne qabile ki taraf-dari to karni hai
mere malik mere aaqa main banda aap ka lekin
mila hai hukm upar se giraftari to karni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.