nahin sahi mere nalon mein kuchh asar na sahi
nahīñ sahī mire nāloñ meñ kuchh asar na sahī
nazar kuchh aap kī bechain hai idhar na sahī
ham uljhanoñ meñ paḌe aql-e-nā-rasā le kar
vo aish-e-be-ḳhabarī ḳhuub thā ḳhabar na sahī
adā-faroshī-e-bāzār-e-tūr aur huzūr
ḳhabar yahī to hai mash.hūr mo'atabar na sahī
fidā ho tāb-e-basārat mirī basīrat par
nazar ne chun to liyā tāqat-e-nazar na sahī
pukārte haiñ ki guuñj is pukār kī rah jaa.e
duā duā to kahī jā.egī asar na sahī
hujūm-e-be-ḳhabarāñ hai bharī to hai mahfil
tumhārī bazm meñ 'rizvī'-e-bā-ḳhabar na sahī
nahin sahi mere nalon mein kuchh asar na sahi
nazar kuchh aap ki bechain hai idhar na sahi
hum uljhanon mein paDe aql-e-na-rasa le kar
wo aish-e-be-KHabari KHub tha KHabar na sahi
ada-faroshi-e-bazar-e-tur aur huzur
KHabar yahi to hai mashhur mo'atabar na sahi
fida ho tab-e-basarat meri basirat par
nazar ne chun to liya taqat-e-nazar na sahi
pukarte hain ki gunj is pukar ki rah jae
dua dua to kahi jaegi asar na sahi
hujum-e-be-KHabaran hai bhari to hai mahfil
tumhaari bazm mein 'rizwi'-e-ba-KHabar na sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.