nahin sujhta koi chaara mujhe
nahīñ sūjhtā koī chārā mujhe
tumhārī judā.ī ne maarā mujhe
idhar aañkh laḌtī hai aġhyār se
udhar karte jaanā ishārā mujhe
tū ik baar sun le mirā haal kuchh
na kuchh kahne denā dobārā mujhe
yūñhī roz aane ko kahte ho tum
nahīñ e'tibār ab tumhārā mujhe
kisī se mujhe kuchh shikāyat nahīñ
'nizām' apne hī dil ne maarā mujhe
nahin sujhta koi chaara mujhe
tumhaari judai ne mara mujhe
idhar aankh laDti hai aghyar se
udhar karte jaana ishaara mujhe
tu ek bar sun le mera haal kuchh
na kuchh kahne dena dobara mujhe
yunhi roz aane ko kahte ho tum
nahin e'tibar ab tumhaara mujhe
kisi se mujhe kuchh shikayat nahin
'nizam' apne hi dil ne mara mujhe
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 324)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.