nahin ye muzhda-e-rahat kisi jawan ke liye
nahīñ ye muzhda-e-rāhat kisī javāñ ke liye
shabāb kā to zamāna hai imtihāñ ke liye
batā na rāz-e-mohabbat kisī ko ai nādāñ
bahut se aur bhī haiñ raaz rāz-dāñ ke liye
janāb-e-shaiḳh ne māñgī sharāb ye kah kar
zarā sī chāhiye ik ḳhaas mehrbāñ ke liye
ḳhayāl-e-barq se ham ne jalā diye ḳhud hī
vo chaar tinke jo rakkhe the āshiyāñ ke liye
hamārī vaj.h se vo bhī hai un ke zer-e-itāb
ye ek turfa musībat hai rāzdāñ ke liye
ḳhudā kī shaan vo fitne uThā rahī hai zamīñ
bane haiñ bā.is-e-hairat jo āsmāñ ke liye
qafas bhī raas hai mujh ko ye baat to hai ġhalat
durust ye hai ki jiitā huuñ āshiyāñ ke liye
kisī ko dair kisī ko haram nahīñ miltā
bhaTak rahe haiñ musāfir kahāñ kahāñ ke liye
tire ḳhirām ne mahshar kā raaz khol diyā
banā huā thā muammā ye ik jahāñ ke liye
zamīn faiz uThātī hai ḳhāksārī kā
bane the varna mah-o-mehr āsmāñ ke liye
zabāñ pe zikr mohabbat kā aa.e kyuuñ 'sāhir'
ye chiiz dil ke liye hai nahīñ zabāñ ke liye
nahin ye muzhda-e-rahat kisi jawan ke liye
shabab ka to zamana hai imtihan ke liye
bata na raaz-e-mohabbat kisi ko ai nadan
bahut se aur bhi hain raaz raaz-dan ke liye
janab-e-shaiKH ne mangi sharab ye kah kar
zara si chahiye ek KHas mehrban ke liye
KHayal-e-barq se hum ne jala diye KHud hi
wo chaar tinke jo rakkhe the aashiyan ke liye
hamari wajh se wo bhi hai un ke zer-e-itab
ye ek turfa musibat hai raazdan ke liye
KHuda ki shan wo fitne uTha rahi hai zamin
bane hain bais-e-hairat jo aasman ke liye
qafas bhi ras hai mujh ko ye baat to hai ghalat
durust ye hai ki jita hun aashiyan ke liye
kisi ko dair kisi ko haram nahin milta
bhaTak rahe hain musafir kahan kahan ke liye
tere KHiram ne mahshar ka raaz khol diya
bana hua tha muamma ye ek jahan ke liye
zamin faiz uThati hai KHaksari ka
bane the warna mah-o-mehr aasman ke liye
zaban pe zikr mohabbat ka aae kyun 'sahir'
ye chiz dil ke liye hai nahin zaban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.