Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe

Shauq Jalandhari

nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe

Shauq Jalandhari

MORE BYShauq Jalandhari

    nahīñ zamāne meñ hāsil kahīñ Thikāna mujhe

    kahāñ kahāñ liye phirtā hai āb-o-dāna mujhe

    vo dekhte haiñ ba-andāz-e-mujrimāna mujhe

    ki jin se pyaar hai ai dost vālihāna mujhe

    jhulastī dhuup meñ ai kaash aisā vaqt aa.e

    nasīb ho tirī palkoñ āshiyāna mujhe

    kabhī rahā na ġharīboñ se vāsta jis ko

    vo degā kyā mirī mehnat mehnatāna mujhe

    balā se jurm ho insāf nigāhoñ meñ

    tumhārī baat to lagtī hai munsifāna mujhe

    talāsh-e-rizq meñ aa.e na jis meñ kotāhī

    ilāhī de vahī parvāz-e-tā.irāna mujhe

    maiñ sāda-lauhī pe apnī huuñ mutma.in yaaro

    ḳhudā ke vāste samjhe na koī daanā mujhe

    mirī hayāt ye bhī ajiib uljhan hai

    bhulānā tujh ko kabhī bhī lagā ravā na mujhe

    kitāb thī sadāqat maañ ne hāthoñ meñ

    safar pe pahle-pahal jab kiyā ravāna mujhe

    ḳhudā shukr hai ai 'shauq' ab bhī zinda huuñ

    satā rahā hai zamāne se ye zamāna mujhe

    nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe

    kahan kahan liye phirta hai aab-o-dana mujhe

    wo dekhte hain ba-andaz-e-mujrimana mujhe

    ki jin se pyar hai ai dost walihana mujhe

    jhulasti dhup mein ai kash aisa waqt aae

    nasib ho teri palkon ka aashiyana mujhe

    kabhi raha na gharibon se wasta jis ko

    wo dega kya meri mehnat ka mehnatana mujhe

    bala se jurm ho insaf ki nigahon mein

    tumhaari baat to lagti hai munsifana mujhe

    talash-e-rizq mein aae na jis mein kotahi

    ilahi de wahi parwaz-e-tairana mujhe

    main sada-lauhi pe apni hun mutmain yaro

    KHuda ke waste samjhe na koi dana mujhe

    meri hayat ki ye bhi ajib uljhan hai

    bhulana tujh ko kabhi bhi laga rawa na mujhe

    kitab di thi sadaqat ki man ne hathon mein

    safar pe pahle-pahal jab kiya rawana mujhe

    KHuda ka shukr hai ai 'shauq' ab bhi zinda hun

    sata raha hai zamane se ye zamana mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now