nai aadmi pasand na usko KHuda pasand
nai aadmī pasand na us ko ḳhudā pasand
hai aa.ine meñ qaid mirā ā.īna pasand
vo chaar din bhī ham se nibāhī nahīñ ga.ī
vo mo.atadil-mizāj thā maiñ intihā-pasand
vo ḳhud-fareb shaḳhs thā patthar shanās thā
aayā na us ko koī bhī apne sivā pasand
jab koī farq shāhid-o-mash.hūd meñ nahīñ
kaise kare kisī ko koī dūsrā pasand
pūchhe hai ham ne kaahe kiyā kufr iḳhtiyār
ġhaflat pasand hai na hameñ aasrā pasand
kholī hai jab se aañkh kabhī so nahīñ sake
kyūñki hameñ hai ḳhvāb meñ bhī jāgnā pasand
maiñ bhī ye barg-e-sabz bhī maahī bhī murġh bhī
bāñdhe hue haiñ maut ne saare havā pasand
ḳhārij kī baat aañkh se aage kī thī magar
sab qaidiyoñ ko rauzan-e-dīvār thā pasand
'ākāsh' ek shaḳhs hai auroñ se muḳhtalif
pahlī nazar meñ hī tumheñ aa jā.egā pasand
nai aadmi pasand na us ko KHuda pasand
hai aaine mein qaid mera aaina pasand
wo chaar din bhi hum se nibahi nahin gai
wo moatadil-mizaj tha main intiha-pasand
wo KHud-fareb shaKHs tha patthar shanas tha
aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand
jab koi farq shahid-o-mashhud mein nahin
kaise kare kisi ko koi dusra pasand
puchhe hai hum ne kahe kiya kufr iKHtiyar
ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand
kholi hai jab se aankh kabhi so nahin sake
kyunki hamein hai KHwab mein bhi jagna pasand
main bhi ye barg-e-sabz bhi mahi bhi murgh bhi
bandhe hue hain maut ne sare hawa pasand
KHarij ki baat aankh se aage ki thi magar
sab qaidiyon ko rauzan-e-diwar tha pasand
'akash' ek shaKHs hai auron se muKHtalif
pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.