nai basi koi KHabar de de
na.ī baasī koī ḳhabar de de
sachchī jhūTī ki mo'tabar de de
sañg barsā de mere āñgan meñ
rahravoñ ko gul-o-samar de de
hai falak tak fasīl nār-e-jahīm
ai ḳhudā ab to abr-e-tar de de
kāmyābī mirā muqaddar kar
zor ke saath mujh ko zar de de
tābnākī atā ho furqat ko
kāsa-e-chashm meñ guhar de de
ab faqīrī meñ koī baat nahīñ
hashmat-o-jāh o karr-o-farr de de
nai basi koi KHabar de de
sachchi jhuTi ki mo'tabar de de
sang barsa de mere aangan mein
rahrawon ko gul-o-samar de de
hai falak tak fasil nar-e-jahim
ai KHuda ab to abr-e-tar de de
kaamyabi mera muqaddar kar
zor ke sath mujh ko zar de de
tabnaki ata ho furqat ko
kasa-e-chashm mein guhar de de
ab faqiri mein koi baat nahin
hashmat-o-jah o karr-o-farr de de
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 51)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.