nai dosti ke fasane bahut hain
na.ī dostī ke fasāne bahut haiñ
magar dushmanī ko bahāne bahut haiñ
jahāñ aurteñ hukmrāñ ho ga.ī haiñ
vahāñ ālamī tāne-bāne bahut haiñ
sañbhalne ko ahl-e-vatan ke liye bhī
dikhā.e jo jalve ḳhudā ne bahut haiñ
hai star T v kā tohfa ye shāyad
ki bachche hamāre siyāne bahut haiñ
ġhazal vo jo murda diloñ ko jilā de
guloñ bulbuloñ ke tarāne bahut haiñ
salāmat rahe 'shād' raushan-zamīrī
to mehnat ke do-chār aane bahut haiñ
nai dosti ke fasane bahut hain
magar dushmani ko bahane bahut hain
jahan aurten hukmran ho gai hain
wahan aalami tane-bane bahut hain
sanbhalne ko ahl-e-watan ke liye bhi
dikhae jo jalwe KHuda ne bahut hain
hai star T w ka tohfa ye shayad
ki bachche hamare siyane bahut hain
ghazal wo jo murda dilon ko jila de
gulon bulbulon ke tarane bahut hain
salamat rahe 'shad' raushan-zamiri
to mehnat ke do-chaar aane bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.