nai-nikor nirali par
na.ī-nikor nirālī par
dil aayā matvālī par
chāñd ghaTā ke ghūñghar meñ
ḳhushbū Daalī Daalī par
kañth mile kajrā mahkā
rañg rache dīvālī par
rādhā-rānī phuul samān
harī ga.e hariyālī par
rame kiran rījhe jugnū
akhiyāñ kajīlī kaalī par
dhyān ik biite milan ke dvaar
lab chaa.e kī pyālī par
sarsoñ suhāgan sone se
tītriyoñ ke ḳhālī par
priit meñ moh milan kī riit
hai tū sahī ai aalī par
nai-nikor nirali par
dil aaya matwali par
chand ghaTa ke ghunghar mein
KHushbu Dali Dali par
kanth mile kajra mahka
rang rache diwali par
radha-rani phul saman
hari gae hariyali par
rame kiran rijhe jugnu
akhiyan kajili kali par
dhyan ek bite milan ke dwar
lab chae ki pyali par
sarson suhagan sone se
titriyon ke KHali par
prit mein moh milan ki rit
hai tu sahi ai aali par
- Book : siip (Magzin) (Pg. 253)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.