nai zamin naya aasman talash karo
na.ī zamīn nayā āsmāñ talāsh karo
jo sat.h-e-āb pe ho vo makāñ talāsh karo
nagar meñ dhuup kī tezī jalā.e detī hai
nagar se duur koī sā.ebāñ talāsh karo
ThiThur gayā hai badan sab kā barf-bārī se
dahaktā kholtā ātish-fishāñ talāsh karo
har ek lafz ke ma.anī bahut hī uthle haiñ
ik aisā lafz jo ho be-karāñ talāsh karo
bahut dinoñ se koī hādisa nahīñ guzrā
kisī ke taaza lahū kā nishāñ talāsh karo
har ek ke raaz se vāqif ho kah rahe haiñ sabhī
mire badan meñ koī dāstāñ talāsh karo
nai zamin naya aasman talash karo
jo sath-e-ab pe ho wo makan talash karo
nagar mein dhup ki tezi jalae deti hai
nagar se dur koi saeban talash karo
ThiThur gaya hai badan sab ka barf-bari se
dahakta kholta aatish-fishan talash karo
har ek lafz ke mani bahut hi uthle hain
ek aisa lafz jo ho be-karan talash karo
bahut dinon se koi hadisa nahin guzra
kisi ke taza lahu ka nishan talash karo
har ek ke raaz se waqif ho kah rahe hain sabhi
mere badan mein koi dastan talash karo
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 90)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.