nai zaminon ko arz-e-guman banate hain
na.ī zamīnoñ ko arz-e-gumāñ banāte haiñ
ḳhudā ke ba.ad koī sā.ebāñ banāte haiñ
vo ek lamha jise tum ne muḳhtasar jaanā
ham aaise lamhe meñ ik dāstāñ banāte haiñ
purāne rishte phir aane lage haiñ apne qarīb
na.e sire se chalo dūriyāñ banāte haiñ
ḳhirad nahīñ hai yahāñ bas junūn kā saudā
ham is junūn se aage makāñ banāte haiñ
vo ishq-zāde jinheñ sūfiyā kaho ho tum
vo lab hilāte haiñ aur do-jahāñ banāte haiñ
nai zaminon ko arz-e-guman banate hain
KHuda ke baad koi saeban banate hain
wo ek lamha jise tum ne muKHtasar jaana
hum aaise lamhe mein ek dastan banate hain
purane rishte phir aane lage hain apne qarib
nae sire se chalo duriyan banate hain
KHirad nahin hai yahan bas junun ka sauda
hum is junun se aage makan banate hain
wo ishq-zade jinhen sufiya kaho ho tum
wo lab hilate hain aur do-jahan banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.