nai zindagi ki hawa chali to kai naqab utar gae
na.ī zindagī kī havā chalī to ka.ī naqāb utar ga.e
jinheñ inqalāb se pyaar thā vahī inqalāb se Dar ga.e
mujhe rahbaroñ se hai ye gila ki unheñ shu.ūr-e-safar na thā
kabhī rāstoñ meñ ulajh ga.e kabhī manziloñ se guzar ga.e
tujhe marg-e-nau kī talāsh hai magar irtiqā kā pata nahīñ
koī ek shakl jo miT ga.ī to hazār naqsh ubhar ga.e
jise justujū-e-sukūñ rahī use sāhiloñ ne Dubo diyā
unheñ koī mauj na chhū sakī jo taḌap ke paar utar ga.e
ġham-e-ishq ne ġham-e-kā.enāt meñ ek ruuh sī phūñk dī
mire raag aur sañvar ga.e mire giit aur nikhar ga.e
nai zindagi ki hawa chali to kai naqab utar gae
jinhen inqalab se pyar tha wahi inqalab se Dar gae
mujhe rahbaron se hai ye gila ki unhen shuur-e-safar na tha
kabhi raston mein ulajh gae kabhi manzilon se guzar gae
tujhe marg-e-nau ki talash hai magar irtiqa ka pata nahin
koi ek shakl jo miT gai to hazar naqsh ubhar gae
jise justuju-e-sukun rahi use sahilon ne Dubo diya
unhen koi mauj na chhu saki jo taDap ke par utar gae
gham-e-ishq ne gham-e-kaenat mein ek ruh si phunk di
mere rag aur sanwar gae mere git aur nikhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.