nairangi-e-KHayal pe hairat nahin hui
nairañgī-e-ḳhayāl pe hairat nahīñ huī
mujh ko kisī kamāl pe hairat nahīñ huī
merī tabāh-hālī ko bhī dekh kar use
hairat hai mere haal pe hairat nahīñ huī
pūchhā thā maiñ ne jab use kyā mujh se 'ishq hai?
us ko mire savāl pe hairat nahīñ huī
dekhā jo ek 'umr ke baa'd us ne aa.inā
ḳhud apne ḳhadd-o-ḳhāl pe hairat nahīñ huī
ik 'umr se maiñ rafta-e-raftār-e-yār huuñ
mujh ko ram-e-ġhazāl pe hairat nahīñ huī
āḳhir ġhurūb honā hī thā āftāb-e-umr
mujh ko mire zavāl pe hairat nahīñ huī
vo shaḳhs is jahān kā thā hī nahīñ kabhī
'sāhir' ke intiqāl pe hairat nahīñ huī
nairangi-e-KHayal pe hairat nahin hui
mujh ko kisi kamal pe hairat nahin hui
meri tabah-haali ko bhi dekh kar use
hairat hai mere haal pe hairat nahin hui
puchha tha main ne jab use kya mujh se 'ishq hai?
us ko mere sawal pe hairat nahin hui
dekha jo ek 'umr ke ba'd us ne aaina
KHud apne KHadd-o-KHal pe hairat nahin hui
ek 'umr se main rafta-e-raftar-e-yar hun
mujh ko ram-e-ghazal pe hairat nahin hui
aaKHir ghurub hona hi tha aaftab-e-umr
mujh ko mere zawal pe hairat nahin hui
wo shaKHs is jahan ka tha hi nahin kabhi
'sahir' ke intiqal pe hairat nahin hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.