Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nairangi-e-wahshat ki dhanak dekh rahe hain

Jaani Lakhnavi

nairangi-e-wahshat ki dhanak dekh rahe hain

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    nairangī-e-vahshat dhanak dekh rahe haiñ

    TuuTe hue taare chamak dekh rahe haiñ

    is ā.ina-ḳhāna-numā aalam se nikal kar

    kuchh log pas-e-bām-e-falak dekh rahe haiñ

    dil-galiyoñ meñ baiThe hue ḳhvābīda musāfir

    is shahr-e-tamannā saḌak dekh rahe haiñ

    ginvā.eñge buniyād kamiyāñ bhī abhī ham

    dīvāroñ pe manqūsh darak dekh rahe haiñ

    ik buud ko phir hast banāne pe tulā hai

    hairat se ham is dil sanak dekh rahe haiñ

    duniyā ne jise qabr kahā hai ham usī meñ

    ik husn-e-mujassam jhalak dekh rahe haiñ

    ham gosh-bar-āvāz-e-adam log haiñ 'jānī'

    āvāz-e-ḳhamoshī khanak dekh rahe haiñ

    nairangi-e-wahshat ki dhanak dekh rahe hain

    TuTe hue tare ki chamak dekh rahe hain

    is aaina-KHana-numa aalam se nikal kar

    kuchh log pas-e-baam-e-falak dekh rahe hain

    dil-galiyon mein baiThe hue KHwabida musafir

    is shahr-e-tamanna ki saDak dekh rahe hain

    ginwaenge buniyaad ki kamiyan bhi abhi hum

    diwaron pe manqush darak dekh rahe hain

    ek bud ko phir hast banane pe tula hai

    hairat se hum is dil ki sanak dekh rahe hain

    duniya ne jise qabr kaha hai hum usi mein

    ek husn-e-mujassam ki jhalak dekh rahe hain

    hum gosh-bar-awaz-e-adam log hain 'jaani'

    aawaz-e-KHamoshi ki khanak dekh rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now