nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath
nairañgiyāñ falak kī haiñ mere hī jī ke saath
ġham bhī isī ke saath ḳhushī bhī isī ke saath
dāman chhuḌā ke jab vo chale be-ruḳhī ke saath
hasrat lipaT ke rone lagī be-ruḳhī ke saath
dil chiiz kyā hai aur jigar kī hai asl kyā
māñgeñ vo jaan bhī to maiñ de duuñ ḳhushī ke saath
mujh se kabhī mile bhī to muñh pher kar mile
kī baat bhī unhoñ ne to kī be-ruḳhī ke saath
har-vaqt sāmnā rahā ranj-o-malāl kā
koī ghaḌī na guzrī hamārī ḳhushī ke saath
kyūñkar umiid ho ki bar aa.egā mudda.ā
jab dekhtā huuñ rahte haiñ vo mudda.ī ke saath
ġhairoñ ko rāhat aur musībat milī mujhe
vo un ke jī ke saath hai ye mere jī ke saath
dam bhar bhī ġham-gusār na ham ko milā koī
guzrī tamām umr yahāñ be-kasī ke saath
'sābir' kā hashr hashr meñ parvardigār ho
as.hāb-o-āl-e-pāk-o-janāb-e-nabī ke saath
nairangiyan falak ki hain mere hi ji ke sath
gham bhi isi ke sath KHushi bhi isi ke sath
daman chhuDa ke jab wo chale be-ruKHi ke sath
hasrat lipaT ke rone lagi be-ruKHi ke sath
dil chiz kya hai aur jigar ki hai asl kya
mangen wo jaan bhi to main de dun KHushi ke sath
mujh se kabhi mile bhi to munh pher kar mile
ki baat bhi unhon ne to ki be-ruKHi ke sath
har-waqt samna raha ranj-o-malal ka
koi ghaDi na guzri hamari KHushi ke sath
kyunkar umid ho ki bar aaega muddaa
jab dekhta hun rahte hain wo muddai ke sath
ghairon ko rahat aur musibat mili mujhe
wo un ke ji ke sath hai ye mere ji ke sath
dam bhar bhi gham-gusar na hum ko mila koi
guzri tamam umr yahan be-kasi ke sath
'sabir' ka hashr hashr mein parwardigar ho
ashab-o-al-e-pak-o-janab-e-nabi ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.