na-kaami-e-sad-hasrat-e-parina ke Dar jaen
na-kaami-e-sad-hasrat-e-parina ke Dar jaen
Zuhoor-ul-Islam Javed
MORE BYZuhoor-ul-Islam Javed
nā-kāmī-e-sad-hasrat-e-pārīna ke Dar jaa.eñ
kuchh roz to ārām se apne bhī guzar jaa.eñ
ai dil-zadagāñ ab ke bhī is fasl-e-junūñ meñ
phir bahr-e-ḳhirad nok-e-sināñ kitne hī sar jaa.eñ
ye rishta-e-jāñ tār-e-rag-e-jān kī mānind
TuuTe jo kabhī ḳhaak meñ ham ḳhāk-basar jaa.eñ
hai harf-shanāsī kisī ā.īne kī mānind
patthar koī paḌ jaa.e to sab harf bikhar jaa.eñ
parvarda-e-shab ko hai kahāñ jur.at-e-iz.hār
Darte haiñ ki shānoñ se kahīñ sar na utar jaa.eñ
is qarya-e-yaḳh-basta meñ ai sho'la-sifat aa
jazbāt na ajsām kī mānind ThiThar jaa.eñ
ye ḳhirqa-e-darveshī hameñ raas hai 'jāved'
dastār-o-qabā pahan leñ ham log to mar jaa.eñ
na-kaami-e-sad-hasrat-e-parina ke Dar jaen
kuchh roz to aaram se apne bhi guzar jaen
ai dil-zadagan ab ke bhi is fasl-e-junun mein
phir bahr-e-KHirad nok-e-sinan kitne hi sar jaen
ye rishta-e-jaan tar-e-rag-e-jaan ki manind
TuTe jo kabhi KHak mein hum KHak-basar jaen
hai harf-shanasi kisi aaine ki manind
patthar koi paD jae to sab harf bikhar jaen
parwarda-e-shab ko hai kahan jurat-e-izhaar
Darte hain ki shanon se kahin sar na utar jaen
is qarya-e-yaKH-basta mein ai sho'la-sifat aa
jazbaat na ajsam ki manind ThiThar jaen
ye KHirqa-e-darweshi hamein ras hai 'jawed'
dastar-o-qaba pahan len hum log to mar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.