naKHwat-e-zor-e-parsa TuTe
naḳhvat-e-zor-e-pārsā TuuTe
'aks aisā ki aa.ina TuuTe
khul gayā raaz ham pe jiine kā
yā-ilāhī na vāhima TuuTe
us ke aane se Dar rahī hai anā
merī tauba na barmalā TuuTe
is se khulte haiñ 'aql ke jauhar
dushmanī kā na silsila TuuTe
vasl meñ fasl kā tasavvur kyā
ab to lillāh fāsla TuuTe
manzil-e-'ishq hai yahāñ 'kausar'
achchhe achchhoñ kā hausla TuuTe
naKHwat-e-zor-e-parsa TuTe
'aks aisa ki aaina TuTe
khul gaya raaz hum pe jine ka
ya-ilahi na wahima TuTe
us ke aane se Dar rahi hai ana
meri tauba na barmala TuTe
is se khulte hain 'aql ke jauhar
dushmani ka na silsila TuTe
wasl mein fasl ka tasawwur kya
ab to lillah fasla TuTe
manzil-e-'ishq hai yahan 'kausar'
achchhe achchhon ka hausla TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.