nam-dida hain masum si kashmir ki aankhen
nam-dīda haiñ ma.asūm sī kashmīr kī āñkheñ
hasrat se unheñ taktī haiñ tadbīr kī āñkheñ
zindāñ ke ġham-o-dard kā ehsās hai un ko
atrāf mire lipTī haiñ zanjīr kī āñkheñ
mil jaatī unheñ quvvat-e-goyā.ī to kyā thā
kuchh kahne se ma.azūr haiñ tasvīr kī āñkheñ
tadbīr ke maidān meñ nākāmī se terī
māyūs huī jaatī haiñ taqdīr kī āñkheñ
logoñ kī nigāhoñ se to mahfūz hai lekin
vāqif haiñ tire zulm se shahtīr kī āñkheñ
dekhā hī nahīñ us kī basārat ko kisī ne
kartī haiñ shikāyat mirī tahrīr kī āñkheñ
āñkhoñ meñ nazar Daal ke āñkheñ use dekho
din raat ġhazab Dhātī haiñ shamshīr kī āñkheñ
nam-dida hain masum si kashmir ki aankhen
hasrat se unhen takti hain tadbir ki aankhen
zindan ke gham-o-dard ka ehsas hai un ko
atraf mere lipTi hain zanjir ki aankhen
mil jati unhen quwwat-e-goyai to kya tha
kuchh kahne se mazur hain taswir ki aankhen
tadbir ke maidan mein nakaami se teri
mayus hui jati hain taqdir ki aankhen
logon ki nigahon se to mahfuz hai lekin
waqif hain tere zulm se shahtir ki aankhen
dekha hi nahin us ki basarat ko kisi ne
karti hain shikayat meri tahrir ki aankhen
aankhon mein nazar Dal ke aankhen use dekho
din raat ghazab Dhati hain shamshir ki aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.