nam hui chashm-e-wafa raaz-e-mohabbat khul gaya
nam huī chashm-e-vafā rāz-e-mohabbat khul gayā
āḳhirash band-e-qabā-e-zabt-e-ulfat khul gayā
jab dil-e-vahshī nigāh-e-nāz kā markaz banā
haal duniyā par tirā ai jazb-e-vahshat khul gayā
shāh-rāh-e-ārzū par do qadam chalne ke ba.ad
husn-e-qismat se dar-e-zindān-e-ulfat khul gayā
jhuk gayā fart-e-nadāmat se gunahgāroñ kā sar
ho ga.ī chashm-e-ināyat bāb-e-rahmat khul gayā
dāstāñ-dar-dāstāñ thī zindagī insān kī
dekhte hī dekhte rañg-e-haqīqat khul gayā
ek jādūī-nazar ke ho ga.e lākhoñ shikār
dil kī girheñ kyā khulīñ ramz-e-shahādat khul gayā
jab farāz-e-arsh par uudī ghaTā chhā.ī 'sabā'
bāb-e-mai-ḳhāna ba-e.ajāz-e-mashiyyat khul gayā
nam hui chashm-e-wafa raaz-e-mohabbat khul gaya
aaKHirash band-e-qaba-e-zabt-e-ulfat khul gaya
jab dil-e-wahshi nigah-e-naz ka markaz bana
haal duniya par tera ai jazb-e-wahshat khul gaya
shah-rah-e-arzu par do qadam chalne ke baad
husn-e-qismat se dar-e-zindan-e-ulfat khul gaya
jhuk gaya fart-e-nadamat se gunahgaron ka sar
ho gai chashm-e-inayat bab-e-rahmat khul gaya
dastan-dar-dastan thi zindagi insan ki
dekhte hi dekhte rang-e-haqiqat khul gaya
ek jadui-nazar ke ho gae lakhon shikar
dil ki girhen kya khulin ramz-e-shahadat khul gaya
jab faraaz-e-arsh par udi ghaTa chhai 'saba'
bab-e-mai-KHana ba-eajaz-e-mashiyyat khul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.