namak nigahon mein honTon mein zaiqa na raha
namak nigāhoñ meñ hoñToñ meñ zā.iqa na rahā
unheñ rijhāne kā ab ham meñ hausla na rahā
na taak jhāñk na hī chilmaneñ darīchoñ par
jahāñ bhī dekhiye nazroñ kā rābta na rahā
piro ke haar rahī jis kī muntazir barsoñ
vo lamha bhar bhī mire sāmne khaḌā na rahā
ajab zamāna hai bantī haiñ joḌiyāñ pal-pal
rahī pasand svayamvar kā marhala na rahā
kisī ke marne kā ġham ab kisī ke dil meñ nahīñ
mohabbatoñ kā kisī dil meñ bhī sila na rahā
aur is ke ba.ad hī maiñ jiit kī kagār pe thā
aur is ke ba.ad hī un se muqābla na rahā
ḳhudā-e-vaqt banā jab se pahre-dār apnā
ḳhudā kā shukr tahaffuz kā silsila na rahā
unheñ ye dukh ki ulaT dī hai maiñ ne hī baazī
mujhe ye ġham ki mire haath meñ diyā na rahā
kahāñ se aa.e haiñ 'īraj' ye but-tarāsh yahāñ
ki shahr-e-dil kā bhī mahfūz ā.īna na rahā
namak nigahon mein honTon mein zaiqa na raha
unhen rijhane ka ab hum mein hausla na raha
na tak jhank na hi chilmanen darichon par
jahan bhi dekhiye nazron ka rabta na raha
piro ke haar rahi jis ki muntazir barson
wo lamha bhar bhi mere samne khaDa na raha
ajab zamana hai banti hain joDiyan pal-pal
rahi pasand swayamwar ka marhala na raha
kisi ke marne ka gham ab kisi ke dil mein nahin
mohabbaton ka kisi dil mein bhi sila na raha
aur is ke baad hi main jit ki kagar pe tha
aur is ke baad hi un se muqabla na raha
KHuda-e-waqt bana jab se pahre-dar apna
KHuda ka shukr tahaffuz ka silsila na raha
unhen ye dukh ki ulaT di hai main ne hi bazi
mujhe ye gham ki mere hath mein diya na raha
kahan se aae hain 'iraj' ye but-tarash yahan
ki shahr-e-dil ka bhi mahfuz aaina na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.