nami aankhon ki baada ho gai hai
namī āñkhoñ kī baada ho ga.ī hai
purānī yaad taaza ho ga.ī hai
hai mujh ko e'tirāf-e-jurm-e-ulfat
ḳhatā ye be-irāda ho ga.ī hai
chale aao hujūm-e-shauq le kar
rah-e-dil ab kushāda ho ga.ī hai
gumāñ hone lagā hai har yaqīñ par
tirī har baat va.ada ho ga.ī hai
mile ho jab bhī tanhā.ī meñ 'darvesh'
koī taqrīb-e-sāda ho ga.ī hai
nami aankhon ki baada ho gai hai
purani yaad taza ho gai hai
hai mujh ko e'tiraf-e-jurm-e-ulfat
KHata ye be-irada ho gai hai
chale aao hujum-e-shauq le kar
rah-e-dil ab kushada ho gai hai
guman hone laga hai har yaqin par
teri har baat wada ho gai hai
mile ho jab bhi tanhai mein 'darwesh'
koi taqrib-e-sada ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.