nanhe paudon ko ab shajar kar de
nanhe paudoñ ko ab shajar kar de
mere ash.ār mo'atabar kar de
us kā ġhussa sharīr bachchoñ sā
ghar kī chīzeñ idhar-udhar kar de
koñpleñ aa rahī haiñ shāḳhoñ par
zard pattoñ ko dar-ba-dar kar de
sar pe us ke ho bādaloñ kī ridā
dhuup kī shiddateñ idhar kar de
haiñ balā.eñ hazār raste meñ
tark 'jāved' ye safar kar de
nanhe paudon ko ab shajar kar de
mere ashaar mo'atabar kar de
us ka ghussa sharir bachchon sa
ghar ki chizen idhar-udhar kar de
konplen aa rahi hain shaKHon par
zard patton ko dar-ba-dar kar de
sar pe us ke ho baadalon ki rida
dhup ki shiddaten idhar kar de
hain balaen hazar raste mein
tark 'jawed' ye safar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.