naqab chehre pe baaten luab-dar kare
naqāb chehre pe bāteñ luāb-dār kare
vo rahnumā hai siyāsat kā kārobār kare
ye sirf ḳhvāboñ kitāboñ kī baat lagtī hai
ki ik ġharīb kī imdād māl-dār kare
na.e zamāne kā rahzan nayā salīqa hai
vo lauTtā hai magar pahle hoshiyār kare
charāġh le ke bhī DhūñDheñge to milegī nahīñ
jahāñ meñ ek bhī hastī jo maañ sā pyaar kare
havā ke zor se hī kashtiyāñ nahīñ chaltīñ
ki nāḳhudā bhī ḳhudā se zarā guhār kare
vo gul-badan hai mukammal bahār se baḌh kar
bas us kā zikr hī mausam ko ḳhush-gavār kare
na jaane kaun sī bastī kā tū hai bāshinda
tujhe 'dinesh' koī ġham na be-qarār kare
naqab chehre pe baaten luab-dar kare
wo rahnuma hai siyasat ka karobar kare
ye sirf KHwabon kitabon ki baat lagti hai
ki ek gharib ki imdad mal-dar kare
nae zamane ka rahzan naya saliqa hai
wo lauTta hai magar pahle hoshiyar kare
charagh le ke bhi DhunDhenge to milegi nahin
jahan mein ek bhi hasti jo man sa pyar kare
hawa ke zor se hi kashtiyan nahin chaltin
ki naKHuda bhi KHuda se zara guhaar kare
wo gul-badan hai mukammal bahaar se baDh kar
bas us ka zikr hi mausam ko KHush-gawar kare
na jaane kaun si basti ka tu hai bashinda
tujhe 'dinesh' koi gham na be-qarar kare
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.