naqab ruKH se haTa dun agar ijazat ho
naqāb ruḳh se haTā duuñ agar ijāzat ho
ye chāñd jag ko dikhā duuñ agar ijāzat ho
kaho to un lab-o-ruḳhsār ko zarā chhū luuñ
kalī kalī ko haTā duuñ agar ijāzat ho
mire qarīb koī jaise huur baiThī hai
huzūr aa.ina lā duuñ agar ijāzat ho
tumhāre qadmoñ tale kahkashāñ ke tāroñ kā
zarā ye farsh bichhā duuñ agar ijāzat ho
machal rahā hai mire dil meñ zauq-e-nazzāra
yahīñ maiñ tuur banā duuñ agar ijāzat ho
talab ho gar tumheñ 'betāb' māh-e-tābāñ kī
farāz-e-‘arsh jhukā duuñ agar ijāzat ho
naqab ruKH se haTa dun agar ijazat ho
ye chand jag ko dikha dun agar ijazat ho
kaho to un lab-o-ruKHsar ko zara chhu lun
kali kali ko haTa dun agar ijazat ho
mere qarib koi jaise hur baiThi hai
huzur aaina la dun agar ijazat ho
tumhaare qadmon tale kahkashan ke taron ka
zara ye farsh bichha dun agar ijazat ho
machal raha hai mere dil mein zauq-e-nazzara
yahin main tur bana dun agar ijazat ho
talab ho gar tumhein 'betab' mah-e-taban ki
faraaz-e-‘arsh jhuka dun agar ijazat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.