naqsh-e-naz-e-but-e-tannaz ba-aghosh-e-raqib
naqsh-e-nāz-e-but-e-tannāz ba-āġhosh-e-raqīb
pā-e-tā.ūs pa.e-ḳhāma-e-mānī māñge
tū vo bad-ḳhū ki tahayyur ko tamāshā jaane
ġham vo afsāna ki āshufta-bayānī māñge
vo tap-e-ishq-e-tamannā hai ki phir sūrat-e-sham.a
sho.ala tā-nabz-e-jigar resha-davānī māñge
tishna-e-ḳhūn-e-tamāshā jo vo paanī māñge
aa.ina ruḳhsat-e-andāz-e-ravānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge
zulf tahrīr-e-pareshān-e-taqāzā hai magar
shāna-sāñ mū-ba-zabāñ ḳhāma-e-mānī māñge
āmad-e-ḳhat se na kar ḳhanda-e-shīrīñ ki mabād
chashm-e-mor ā.īna-e-dil nigarānī māñge
huuñ giraftār-e-kamīñ-gāh-e-taġhāful ki jahāñ
ḳhvāb sayyād se parvāz-e-girānī māñge
chashm parvāz o nafas ḳhufta magar zo.af-e-umīd
shahpar-e-kāh pa.e-muzhda-risānī māñge
vahshat-e-shor-e-tamāshā hai ki juuñ nik.hat-e-gul
namak-e-zaḳhm-e-jigar bāl-fishānī māñge
gar mile hazrat-e-'bedil' kā ḳhat-e-lauh-e-mazār
'asad' ā.īn-e-parvāz-e-ma.ānī māñge
rañg ne gul se dam-e-arz-e-pareshānī-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mīnā kī nishānī māñge
naqsh-e-naz-e-but-e-tannaz ba-aghosh-e-raqib
pa-e-taus pae-KHama-e-mani mange
tu wo bad-KHu ki tahayyur ko tamasha jaane
gham wo afsana ki aashufta-bayani mange
wo tap-e-ishq-e-tamanna hai ki phir surat-e-shama
shoala ta-nabz-e-jigar resha-dawani mange
tishna-e-KHun-e-tamasha jo wo pani mange
aaina ruKHsat-e-andaz-e-rawani mange
rang ne gul se dam-e-arz-e-pareshani-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mina ki nishani mange
zulf tahrir-e-pareshan-e-taqaza hai magar
shana-san mu-ba-zaban KHama-e-mani mange
aamad-e-KHat se na kar KHanda-e-shirin ki mabaad
chashm-e-mor aaina-e-dil nigarani mange
hun giraftar-e-kamin-gah-e-taghaful ki jahan
KHwab sayyaad se parwaz-e-girani mange
chashm parwaz o nafas KHufta magar zoaf-e-umid
shahpar-e-kah pae-muzhda-risani mange
wahshat-e-shor-e-tamasha hai ki jun nikhat-e-gul
namak-e-zaKHm-e-jigar baal-fishani mange
gar mile hazrat-e-'bedil' ka KHat-e-lauh-e-mazar
'asad' aain-e-parwaz-e-maani mange
rang ne gul se dam-e-arz-e-pareshani-e-bazm
barg-e-gul reza-e-mina ki nishani mange
- Book : Deewan-e-Ghalib Jadeed (Al-Maroof Ba Nuskha-e-Hameedia) (Pg. 319)
- Author : Mufti Mohammad Anwar-ul-haque
- Publication : Madhya Pradesh Urdu Academy ,Bhopal (1904-1982)
- Edition : 1904-1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.