naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena
naqsh maazī ke jo baaqī haiñ miTā mat denā
ye buzurgoñ kī amānat hai gañvā mat denā
vo jo razzāq-e-haqīqī hai usī se māñgo
rizq bar-haq hai kahīñ aur sadā mat denā
bhiik māñgo bhī to bachchoñ se chhupā kar māñgo
tum bhikārī ho kahīñ un ko batā mat denā
sub.h-e-sādiq meñ bahut der nahīñ hai lekin
kahīñ ujlat meñ charāġhoñ ko bujhā mat denā
maiñ ne jo kuchh bhī kahā sirf mohabbat meñ kahā
mujh ko is jurm-e-mohabbat kī sazā mat denā
naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena
ye buzurgon ki amanat hai ganwa mat dena
wo jo razzaq-e-haqiqi hai usi se mango
rizq bar-haq hai kahin aur sada mat dena
bhik mango bhi to bachchon se chhupa kar mango
tum bhikari ho kahin un ko bata mat dena
subh-e-sadiq mein bahut der nahin hai lekin
kahin ujlat mein charaghon ko bujha mat dena
main ne jo kuchh bhi kaha sirf mohabbat mein kaha
mujh ko is jurm-e-mohabbat ki saza mat dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.