Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai

Abbas Tabish

naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai

Abbas Tabish

MORE BYAbbas Tabish

    naqsh saare ḳhaak ke haiñ sab hunar miTTī hai

    is dayār-e-rañg-o-bū meñ bast-o-dar miTTī hai

    kuchh to apnī gardaneñ kaj haiñ havā ke zor se

    aur kuchh apnī tabī.at meñ asar miTTī hai

    chāñdnī ḳhandāñ hai apne hujra-e-mahtāb par

    aur maiñ nāzāñ huuñ is par merā ghar miTTī hai

    rahmateñ barsā ke bhī abr-e-karam chhaTtā nahīñ

    aise lagtā hai ki saaya charḳh par miTTī hai

    ḳhaak se uThte nahīñ chaltī havā ke saath ham

    ijz-e-ḳhātir par bahut gahrā asar miTTī hai

    ik namūna hai kisī san.at-e-timsāl

    ye jo khiḌkī hai sadā ye jo ghar miTTī hai

    kyuuñ na ḳhū-e-ḳhāk se ḳhasta rahe merī anā

    pā-ba-gil huuñ aur ḳhamīr-e-motabar miTTī hai

    naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai

    is dayar-e-rang-o-bu mein bast-o-dar miTTi ka hai

    kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se

    aur kuchh apni tabiat mein asar miTTi ka hai

    chandni KHandan hai apne hujra-e-mahtab par

    aur main nazan hun is par mera ghar miTTi ka hai

    rahmaten barsa ke bhi abr-e-karam chhaTta nahin

    aise lagta hai ki saya charKH par miTTi ka hai

    KHak se uThte nahin chalti hawa ke sath hum

    ijz-e-KHatir par bahut gahra asar miTTi ka hai

    ek namuna hai kisi ki sanat-e-timsal ka

    ye jo khiDki hai sada ki ye jo ghar miTTi ka hai

    kyun na KHu-e-KHak se KHasta rahe meri ana

    pa-ba-gil hun aur KHamir-e-motabar miTTi ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now