Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain

Firaq Gorakhpuri

narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    narm fazā karvaTeñ dil ko dukhā ke rah ga.iiñ

    ThanDī havā.eñ bhī tirī yaad dilā ke rah ga.iiñ

    shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ husn bhī thā udaas udaas

    dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad aa ke rah ga.iiñ

    mujh ko ḳharāb kar ga.iiñ nīm-nigāhiyāñ tirī

    mujh se hayāt o maut bhī āñkheñ churā ke rah ga.iiñ

    husn-e-nazar-fareb meñ kis ko kalām thā magar

    terī adā.eñ aaj to dil meñ samā ke rah ga.iiñ

    tab kahīñ kuchh pata chalā sidq-o-ḳhulūs-e-husn

    jab vo nigāheñ ishq se bāteñ banā ke rah ga.iiñ

    tere ḳhirām-e-nāz se aaj vahāñ chaman khile

    fasleñ bahār jahāñ ḳhaak uḌā ke rah ga.iiñ

    pūchh na un nigāhoñ turfa karishma-sāziyāñ

    fitne sulā ke rah ga.iiñ fitne jagā ke rah ga.iiñ

    tāroñ aañkh bhī bhar aa.ī merī sadā-e-dard par

    un nigāheñ bhī tirā naam batā ke rah ga.iiñ

    uf ye zamīñ gardisheñ aah ye ġham Thokareñ

    ye bhī to baḳht-e-ḳhufta ke shāne hilā ke rah ga.iiñ

    aur to ahl-e-dard kaun sambhāltā bhalā

    haañ terī shādmāniyāñ un ko rulā ke rah ga.iiñ

    yaad kuchh aa.iiñ is tarah bhūlī huī kahāniyāñ

    kho.e hue diloñ meñ aaj dard uThā ke rah ga.iiñ

    sāz-e-nashāt-e-zindagī aaj laraz laraz uThā

    kis nigāheñ ishq dard sunā ke rah ga.iiñ

    tum nahīñ aa.e aur raat rah ga.ī raah dekhtī

    tāroñ mahfileñ bhī aaj āñkheñ bichhā ke rah ga.iiñ

    jhuum ke phir chalīñ havā.eñ vajd meñ aa.iiñ phir fazā.eñ

    phir tirī yaad ghaTā.eñ sīnoñ pe chhā ke rah ga.iiñ

    qalb o nigāh ye iid uf ye ma.āl-e-qurb-o-dīd

    charḳh gardisheñ tujhe mujh se chhupā ke rah ga.iiñ

    phir haiñ vahī udāsiyāñ phir vahī suunī kā.enāt

    ahl-e-tarab mahfileñ rañg jamā ke rah ga.iiñ

    kaun sukūn de sakā ġham-zadagān-e-ishq ko

    bhīgtī rāteñ bhī 'firāq' aag lagā ke rah ga.iiñ

    narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain

    ThanDi hawaen bhi teri yaad dila ke rah gain

    sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas

    dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain

    mujh ko KHarab kar gain nim-nigahiyan teri

    mujh se hayat o maut bhi aankhen chura ke rah gain

    husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalam tha magar

    teri adaen aaj to dil mein sama ke rah gain

    tab kahin kuchh pata chala sidq-o-KHulus-e-husn ka

    jab wo nigahen ishq se baaten bana ke rah gain

    tere KHiram-e-naz se aaj wahan chaman khile

    faslen bahaar ki jahan KHak uDa ke rah gain

    puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan

    fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain

    taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par

    un ki nigahen bhi tera nam bata ke rah gain

    uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki Thokaren

    ye bhi to baKHt-e-KHufta ke shane hila ke rah gain

    aur to ahl-e-dard kaun sambhaalta bhala

    han teri shadmaniyan un ko rula ke rah gain

    yaad kuchh aain is tarah bhuli hui kahaniyan

    khoe hue dilon mein aaj dard uTha ke rah gain

    saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz uTha

    kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gain

    tum nahin aae aur raat rah gai rah dekhti

    taron ki mahfilen bhi aaj aankhen bichha ke rah gain

    jhum ke phir chalin hawaen wajd mein aain phir fazaen

    phir teri yaad ki ghaTaen sinon pe chha ke rah gain

    qalb o nigah ki ye id uf ye maal-e-qurb-o-did

    charKH ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gain

    phir hain wahi udasiyan phir wahi suni kaenat

    ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gain

    kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko

    bhigti raaten bhi 'firaq' aag laga ke rah gain

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Gul-e-Naghma (Pg. 64)
    • Author : Firaq Gorakhpuri
    • Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
    • Edition : 2006

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now