narmiyan hain tumhaari boli mein
narmiyāñ haiñ tumhārī bolī meñ
aur patthar paḌe haiñ jholī meñ
saj ga.ī merī soch kī dhartī
rang us ne bhare rañgolī meñ
yuuñ huā phir pighal gayā manzar
sub.h sūraj ugā jo kholī meñ
dharm jaatī se aap kī pahchān
aadmī hai hamārī Tolī meñ
mere dāman ke daaġh dekhe kaun
sab yahāñ haiñ nahā.e holī meñ
chaar jānib ujālā phailā hai
chāñd chamkā kisī kī cholī meñ
boriye bichh ga.e mohabbat se
aap aa.e hamārī kholī meñ
narmiyan hain tumhaari boli mein
aur patthar paDe hain jholi mein
saj gai meri soch ki dharti
rang us ne bhare rangoli mein
yun hua phir pighal gaya manzar
subh suraj uga jo kholi mein
dharm jati se aap ki pahchan
aadmi hai hamari Toli mein
mere daman ke dagh dekhe kaun
sab yahan hain nahae holi mein
chaar jaanib ujala phaila hai
chand chamka kisi ki choli mein
boriye bichh gae mohabbat se
aap aae hamari kholi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.