nashe mein sahwan kar li tauba
nashe meñ sahvan kar lī tauba
aisī bholī ilāhī tauba
haj meñ jab yaad aa.iiñ vo āñkheñ
tāq-e-haram par rakh dī tauba
vā.izoñ se rindoñ meñ aa.ī
phirtī hai bahkī bahkī tauba
qasmeñ khā kar phir se piinā
muñh kā nivāla Thahrī tauba
daam meñ phāñsā mauja-e-mai ne
ik jhaTke meñ TuuTī tauba
bahr-e-gunah se paar utārā
kashtī-e-rahmat Thahrī tauba
pī ke 'munīr' ab bāda-e-kausar
mast huī hai merī tauba
nashe mein sahwan kar li tauba
aisi bholi ilahi tauba
haj mein jab yaad aain wo aankhen
taq-e-haram par rakh di tauba
waizon se rindon mein aai
phirti hai bahki bahki tauba
qasmen kha kar phir se pina
munh ka niwala Thahri tauba
dam mein phansa mauja-e-mai ne
ek jhaTke mein TuTi tauba
bahr-e-gunah se par utara
kashti-e-rahmat Thahri tauba
pi ke 'munir' ab baada-e-kausar
mast hui hai meri tauba
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 143)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.