nashsha-e-shauq-e-rang mein tujhse judai ki gai
nashsha-e-shauq-e-rañg meñ tujh se judā.ī kī ga.ī
ek lakīr ḳhuun kī biich meñ khīñch dī ga.ī
thī jo kabhī sar-e-suḳhan merī vo ḳhāmushī ga.ī
haa.e kuhan-e-sinan kī baat haa.e vo baat hī ga.ī
shauq kī ek umr meñ kaise badal sakegā dil
nabz-e-junūn hī to thī shahr meñ Dūbtī ga.ī
us kī galī se uTh ke maiñ aan paḌā thā apne ghar
ek galī kī baat thī aur galī galī ga.ī
us kī umīd-e-nāz kā mujh se ye maan thā ki aap
umr guzār dījiye umr guzār dī ga.ī
daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
tere yahāñ ri.āyat-e-hāl nahīñ rakhī ga.ī
'jaun' junūb-e-zard ke ḳhāk-basar ye dukh uThā
mauj-e-shimāl-e-sabz-jāñ aa.ī thī aur chalī ga.ī
kyā vo gumāñ nahīñ rahā haañ vo gumāñ nahīñ rahā
kyā vo umiid bhī ga.ī haañ vo umiid bhī ga.ī
nashsha-e-shauq-e-rang mein tujh se judai ki gai
ek lakir KHun ki bich mein khinch di gai
thi jo kabhi sar-e-suKHan meri wo KHamushi gai
hae kuhan-e-sinan ki baat hae wo baat hi gai
shauq ki ek umr mein kaise badal sakega dil
nabz-e-junun hi to thi shahr mein Dubti gai
us ki gali se uTh ke main aan paDa tha apne ghar
ek gali ki baat thi aur gali gali gai
us ki umid-e-naz ka mujh se ye man tha ki aap
umr guzar dijiye umr guzar di gai
daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
tere yahan riayat-e-haal nahin rakhi gai
'jaun' junub-e-zard ke KHak-basar ye dukh uTha
mauj-e-shimal-e-sabz-jaan aai thi aur chali gai
kya wo guman nahin raha han wo guman nahin raha
kya wo umid bhi gai han wo umid bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.