nasib wasl tumhaara kaho to kyun-kar ho
nasīb vasl tumhārā kaho to kyūñ-kar ho
firāq-e-yār meñ taskīn ho to kyūñ-kar ho
tū apne vā'de kā sachchā jo ho to kyūñ-kar ho
ye tujh se jhuuT kī ho tark ḳhū to kyūñ-kar ho
na jal ke ḳhaak ho jab tak ki misl-e-parvāna
ho taish dil kā hamāre faro to kyūñ-kar ho
tire marīz ke gur sau 'ilāj hoñ lekin
shifā na us ke nasīboñ meñ ho to kyūñ-kar ho
kisī pe rāz-e-nihāñ dil kā tere ai āñkho
jo tum na girya se afshā karo to kyūñ-kar ho
ye ham bhī chāhte haiñ tark-e-'ishq ho lekin
jo dil pe bas na ho ai nāseho to kyūñ-kar ho
mileñ na ḳhaak meñ jab tak tumhāre kushta-e-nāz
damīda ḳhaak se ho nāz-e-bū to kyūñ-kar ho
jigar pe zaḳhm to khaa.e magar mazā hāsil
namak-fishāñ ho na vo jang-jū to kyūñ-kar ho
karam kahāñ ke sitam bhī ho karte naaz se tum
jo ye bhī ho to ġhanīmat hai vo to kyūñ-kar ho
'zafar' jo ho na mohabbat meñ dil se dil ko raah
vo mere haal se āgāh ho to kyūñ-kar ho
nasib wasl tumhaara kaho to kyun-kar ho
firaq-e-yar mein taskin ho to kyun-kar ho
tu apne wa'de ka sachcha jo ho to kyun-kar ho
ye tujh se jhuT ki ho tark KHu to kyun-kar ho
na jal ke KHak ho jab tak ki misl-e-parwana
ho taish dil ka hamare faro to kyun-kar ho
tere mariz ke gur sau 'ilaj hon lekin
shifa na us ke nasibon mein ho to kyun-kar ho
kisi pe raaz-e-nihan dil ka tere ai aankho
jo tum na girya se afsha karo to kyun-kar ho
ye hum bhi chahte hain tark-e-'ishq ho lekin
jo dil pe bas na ho ai naseho to kyun-kar ho
milen na KHak mein jab tak tumhaare kushta-e-naz
damida KHak se ho naz-e-bu to kyun-kar ho
jigar pe zaKHm to khae magar maza hasil
namak-fishan ho na wo jang-ju to kyun-kar ho
karam kahan ke sitam bhi ho karte naz se tum
jo ye bhi ho to ghanimat hai wo to kyun-kar ho
'zafar' jo ho na mohabbat mein dil se dil ko rah
wo mere haal se aagah ho to kyun-kar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.